dil ki har dhadhkan
mein samaati ho tum
aaina bhi dekhun
toh nazar aati ho tum

rubaruh hon hum
toh kuch kahti nahi
khwaabon mein aakar
haq jataati ho tum

kal tak thi anjaani
aaj jaan ho meri
gar hun main diyaa
toh meri baati ho tum

ban gayi hai ghazal
berang si zindagi
mere dil ke taaron ko
chedh jaati ho tum

dil ki har dhadhkan
mein samaati ho tum
aaina bhi dekhun
toh nazar aati ho tum

Khushi