July 5, 2008
abh hai khushi khushi mai
Posted by Arora under Love, My Hindi Urdu Punjabi Poetry | Tags: jumman, khayaal, khushi, malaal |1 Comment
Ustab Jumman arz karte hain
abh hai khushi khushi mai na gham hai malaal mai
duniya se kho gaya hoon tumhaare khayaal mai
mujhko na apna hosh na duniya ka hosh hai
bhaita hoon mast hoke tumhaare khayaal mai
taaron se pooch lo meri roozade zindagi
raaton ko jaagta hoon tumhaare khayaal mai
duniya ko ilm kya hai zamaane ko kya khabar
duniya bhula chuka hoon tumahare khayaal mai
Nacheez Khushi arz karti hain
Lahron mein jhilmilati hai…..sooraj ki jab kiran
Aks khojti hun main…… tumhare khayal mein
Baadal ke chaane se ….. dhundlaati hai nazar
dhund mein ghum gayi hun …….tumhaare khayal mein
parvardigaar se hai meri ……itni sii arzoo
jeeye bina marr naa jaun …… tumhare khayal mein
abh hai khushi khushi mai… na gham hai malaal mein
Fakr karte hain Hum….. yaar tere jamaal mein
Uthti hai bus nazr ab….. uski ibadat ko
Har lamha sabr se hai……. uske kamaal mein



















